Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ... tum
hoti toh kaisa hota ... tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is
baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti ... tum hoti
toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota ... main aur meri
tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek
raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai
magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur
sahe hum ... dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein,
deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein ... kyun dil
mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ... haan humko
mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ... ukdhi hui
saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... pyar ki
shabnam mein unsune geeton ko ... sunsaan si rahon mein
bhoole hue vaadon ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi
yaad kare ... khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton
ko ... bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko ...
moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ... adh-
khule hoton mein pritam ke chumman ko ... kaise koi yaad
kare, kaise koi yaad kare
Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... waqt
jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ... door ho jaane se
ehsaas nahi mar sakta ... yeh mohabbat hai dilon ka rishta
... aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi
taqseem nahi ho sakta ... tu kisi aur ki raaton ka haseen
chand sahi ... meri duniya ke har rang mein shamil tu hai
... tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... main
kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara
intezar kiya ... tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har
kadam par tumhari tamanna ki ... tumhe na chahte hue bhi
maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi
na rahi
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni
ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh
chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara
aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki
khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne
chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse
gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi
ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki
tum yahin ho, yahin kahin ho


No comments
Post a Comment